SAB YAAD RAKHA JAAEGA BY AAMIR AZIZ



Tum Raat Likho Hum Chand Likhenge,
Tum Jail Mein Dalo Hum Deewar Phand Likhenge,

Tum FIR Likho Hum Hain Taiyar Likhenge,

Tum Humein Qatl Kar Do Hum Banke Bhoot Likhenge,

Tumhare Qatl Ke Sare Saboot Likhenge

Aur Tum Adalaton Se Baith Kar Chutkule Likho,

Hum Sadkon Deewaron Pe Insaf Likhenge,

Behre Bhi Sun Le Itni Zor Se Bolenge



Andhe Bhi Padh Lein Itna Saf Likhenge,
Tum Kala Kamal Likho, Hum Lal Gulab Likhenge,
Tum Zameen Pe Zulm Likh Do,
Asman Pe Inquilab Likha Jayega,



Sab Yaad Rakha Jayega,

Sab Kuch Yad Rakha Jayega,
Aur Tumhari Laathiyon Aur Goliyon Se,
Jo Qatl Huwe Hain Mere Yaar Sab,
Unki Yaad Mein Dilon Ko Barbaad Rakha Jayega,


Sab Yaad Rakha Jayega,

Sab Kuch Yad Rakha Jayega.
Aur Tum Seyahiyon Se Jhooth Likhoge,
Humein Maloom Hai,
Ho Humare Khoon Se Hi Sahi,
Sach Zarur Likha Jayega,

Sab Yaad Rakha Jayega,

Sab Kuch Yaad Rakha Jayega,
Aur Mobile, Telephone, Internet
Bhari Dopaher Mein Band Karke,
Sard Andheri Raat Mein Poore Shehar Ko
Nazarband Karke,

Hataudiyan Lekar Daffatan
Mere Ghar Mein Ghus Aana,
Mera Sar-Badan Meri Mukhtasar Si
Zindagi Ko Tod Jaana,
Mere Lakht-E-Jigar, Jigar Ka Tukda,
Mere Lakht-E-Jigar Ko Beech Chaurahe Pe Maar Kar,
Yun Be-Andaaz Jhund Mein Khade Hokar
Tumhara Muskurana,

Sab Yaad Rakha Jaayega,
Sab Kuch Yad Rakha Jayega.

Aur Din Mein Meethi-Meethi Baatein Karna Samne Se,

Sab Kuch Theek Hai Har Zubaan Mein Tutlana,
Raat Hote Hi Haq Maang Rahe Logon Pe
Laathiyan Chalana, Goliyan Chalana,
Humi Pe Hamla Karke, Humi Ko Hamlavar Batana,

Sab Yaad Rakha Jayega,
Sab Kuch Yad Rakha Jayega.

Aur Main Apni Haddiyon Pe Likh’ke
Rakhunga Ye Sare Vardaat,

Main Apni Haddiyon Pe Likh’ke
Rakhunga Ye Sare Vardaat,

Tum Jo Maangte Ho Mujhse Mere Hone Ke Kagzaat,

Apni Hasti Ka Tumko Saboot
Zarur Diya Jayega,

Yeh Jung Tumhari Aakhri Saans
Tak Larha Jayega,

Sab Yaad Rakha Jayega,

Ye Bhi Yaad Rakha Jayega
Kis-Kis Tarah Se,
Tumne Watan Ko Todne Ki Saazishein Ki,

Ye Bhi Yaad Rakha Jayega
Kis-Kis Yatan Se, Humne Watan Ko
Jodne Ki Khwahish Ki,

Ye Bhi Yaad Rakha Jayega,

Aur Jab Kabhi Bhi Zikr Ayega,

Jahaan Mein Daur-E-buzdili Ka,
Tumhara Kaam Yaad Rakha Jayega,


Aur Jab Kabhi Bhi Zikr Ayega
Jahaan Mein Taur-E- Zindagi Ka,
Humara Naam Yaad Rakha Jayega,


Ki Kuch Log The Jinke Iraade
Toote Nahin The
Lohe Ki Hataudiyon Se,

Ki Kuch Log The Jinke
Zameer Bike Nahin The,
Izaaredaron Ki Kaudiyon Se,

Jaise Tumahre Bik Gaye Hain!

Ke Kuch Log The Jo Datte Rahe The,
Toofan-E-Nu Ke Guzar Jane Ke Baad Tak,

Kuch Log The Jo Zinda Rahe
Apni Maut Ki Khabar Aane Ke Baad Tak,



Bhale Bhool Jaye Palak Aankhon Ko Moondna,

Bhale Bhool Jaye Zameen Apni Doori Pe Ghoomna,
Humare Kate Paron Ki Parwaz Ko,
Humare Phate Galon Ke Awaz Ko
Yaad Rakha Jayega,


Tum Raat Likho Hum Chand Likhenge,

Tum Jail Mein Dalo Hum Deewar Phand Likhenge,

Tum FIR Likho Hum Hain Taiyar Likhenge.
Aur Tum Humein Qatl Kar Do
Hum Banke Bhoot Likhenge,

Tumhare Qatl Ke Sare Suboot Likhenge,

Aur Tum Adalaton Se Baith Ke Chutkule Likho,
Hum Sadkon Deewaron Pe Insaf Likhenge,


Behre Bhi Sun Le Itni Zor Se Bolenge,
Andhe Bhi Padh Lein Itna Saf Likhenge,


Aur Tum Kala Kamal Likho,
Hum Lal Gulab Likhenge,

Toh Tum Zameen Pe Zulm Likh Do,

Asmaan Pe Inquilab Likha Jayega,

Sab Yaad Rakha Jayega,
Sab Kuch Yad Rakha Jayega,



Taa’ke Tumhare Naam Par,

Ta’umr Laanatein Bheji Ja Sake,
Taa’ke Tumhare Mujjasamon Par,
Kaalikhein Poti Jaa Sakein,


Tumhare Naam Tumhare Mujasamon Ko,

Abaad Rakha Jayega,

Sab Yaad Rakhha jayega
Sab Yaad Rakhha jayega.

 -Aamir Aziz



_________________________________________________
Subscribe our blogs Alfaz_shayar